Friday, November 17, 2006

Wo Jamana

(FOR SOMEONE VERY SPECIAL)

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai

Ki tumko dekhte the hum ye tum bhi jante the,
meri dil ki har ek dhadkan ko tum pehchante the,
gujarna pass se aur nazaron ka wo chaar ho jana,
aur sharma ke wo nazaron jhukana yaad aata hai.

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai.

Huyi baatein jo pehli baar to lab kapkapaye the,
jhijhak tumko bhi thi, hum bhi juban se ladkhadaye the,
shuru samvad hone main jara sa waqt lagta tha,
ke phir wo gaur se sunna sunana yaad aata hai.

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai

Ki jab pehlu main mere hote the tum, waqt udta tha,
ki kab din hota tha kab raat ye na jaan padta tha,
teri khusboo hawa main rehti thi, madhosh karti thi,
khushi main wo tera khilkhilana yaad aata hai.

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai

Ki ab tanhai main yaadein tumhari yaad aati hain,
main hasna chahta hoon ye magar mujhko rulati hain,
Yun lagta hai ki koyalein bhi virah ke geet gaati hain,
Ki mushkil main wo tera himmat badhana yaad aata hai,

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai.



--Ravi