Friday, November 17, 2006

Wo Jamana

(FOR SOMEONE VERY SPECIAL)

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai

Ki tumko dekhte the hum ye tum bhi jante the,
meri dil ki har ek dhadkan ko tum pehchante the,
gujarna pass se aur nazaron ka wo chaar ho jana,
aur sharma ke wo nazaron jhukana yaad aata hai.

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai.

Huyi baatein jo pehli baar to lab kapkapaye the,
jhijhak tumko bhi thi, hum bhi juban se ladkhadaye the,
shuru samvad hone main jara sa waqt lagta tha,
ke phir wo gaur se sunna sunana yaad aata hai.

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai

Ki jab pehlu main mere hote the tum, waqt udta tha,
ki kab din hota tha kab raat ye na jaan padta tha,
teri khusboo hawa main rehti thi, madhosh karti thi,
khushi main wo tera khilkhilana yaad aata hai.

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai

Ki ab tanhai main yaadein tumhari yaad aati hain,
main hasna chahta hoon ye magar mujhko rulati hain,
Yun lagta hai ki koyalein bhi virah ke geet gaati hain,
Ki mushkil main wo tera himmat badhana yaad aata hai,

Tumhare sath beeta wo jamana yaad aata hai.



--Ravi

Friday, September 22, 2006

Navprabhat

Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara

Kyun grina ke baadlon ka shor hai
Kyun nisha se dar rahi har bhor hai
Kyun Ravi ka tez mand ho raha
Chand bhi kyun chandni ko ro raha
Kyun nahi ugti fasal ab pyar ki
Kyun kami khalti hai sacche yaar ki
Khud hi majhi naav kyun dubo raha

Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara


Gadya hai khamosh kavya maun hai
Prem ka sandesh de wo kaun hai
Majhabon main aadmi bata hai kyun
Juban main tera-mera rata hai kyun
Vish se aj har ek ghat bhara hai kyun
Aur Lahu se bhari dhara hai kyun
Hai kaun jo nafrat ke beej bo raha

Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara

Manjil se pehle kyun kadam hain thak rahe
Kyun Yuva hain raaste bhatak rahe
Hain kahan bacchon ki wo kilkariyan
Kyun har ek ghar se uthein siskariyan
Kyun yahan koi hai bhuka so gaya
Bewaqt kyun bachpan bhi boodha ho gaya
Kyun kshitiz ka surya ab tak so raha

Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara

Aadmi ka aadmi dushman hai kyun
Ho rahi rishton main bhi anban hai kyun
Kyun hai daulat ke nashe main chur sab
Farz nibhane se bhi majboor ab
Dekhiye mahaul ye kaisa hua
Ab to rishton se bada paisa hua
Paisa-paisa shor kaisa ho raha

Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara

Apne sanskar kahan kho gaye
Desh main apne videshi ho gaye
Dhan to pa liya magar nahin hai chain
Tan to shant hai magar Atma bechain
Swartha ab parmartha se bada hai kyun
Har khushi ki raah main ada hai kyun
Chidchida sabka swabhav ho raha

Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara

Aao chalo swapn phir sajayein hum
Khud ko phir se aadmi banayein hum
Har taraf aman ho aur pyar ho
Zindagi ki raah khushgavar ho
Rishton ki pavitrata ka maan ho
Aur dharmon se bada insaan ho
Yun lage ki navprabhat ho raha

Ho nayan main neer na bhara bhara
Aur na ho swapn phir dara dara.


--Ravi




Thursday, September 21, 2006

Pooja

Apni shohrat pe na itna tu magroor ho ja
Jawani ke jashn main na itna choor ho ja
Ki pukarti rahein tujhe boodhi (old) sansein
Aur tu unki pahunch se door ho ja

Jinhone pala hai tujhe, tujhe pyar diya
Apne sukh ko teri khushiyon pe vaar diya
Jo na soye raat bhar teri bimari main
Kaise chod sakta hai tu unhein lachari main

Karz unka chukana namumkin hai is janam main
Is satya ko to sweekar kar le
Denge aashish tujhko wo har kadam par
Unki pooja ke liye swayam ko taiyar kar le.

--Ravi

Nirvah

Hum usoolon ka rona hi rote rahe,
Jag inhein bechkar muskurata raha,
Humko saawan main bhi dukh ke baadal mile,
Unko patjhad bhi sukh se bheegata raha.

Kasme wade wafa sirf baatein nahin hain
Jahan tak bana main nibhata raha,
Raah majburiyon se bhari thi meri
Phir bhi hardum hi main muskurata raha.

Main tha kamjor lekin mile jab se tum
Tera milna hi himmat badhata raha,
Teri dosti par main kurban hoon,
Tu mere gum main ansu bahata raha.

Zindagi ki dagar main thi muskil kai
Par kadam par kadam main badhata raha,
Ki khushiyon ko bhi dikhe mera daaman kabhi
Soch aangan main deepak jalata raha.

--Ravi

Wednesday, September 20, 2006

Saar

Tam (Aag) se jyada tez krodh hai,
Is par kar le tu adhikar,
Dushman ko bhi jeet sake hain,
Do meethe bolon ke vaar.

Rishton ki pavitrata dhumil
Hoti hai chaurahon par,
Nafrat ki andhi main jaane
Kahan ud gaya saara pyar.

Maya ki maya hai kitni mayavi,
Iski parto (layers) main uljha sara sansar,
Khoj satya ki karne nikle hain wo log
Jhooth bechkar chala rahe hain jo ghar-bar.

Ab bhi nahi hui hai deri, aao hum,
Naye sire se dhundhe is jivan ka saar.

-Ravi

Pehchan

Apna iman bachaye rakhna,
Khud ko insan banaye rakhna,
Bheed main khona nahi hai gar tumko,
Apni pehchan banaye rakhna.

-Ravi