Aj hai har swapn kyun dara dara
Kyun grina ke baadlon ka shor hai
Kyun nisha se dar rahi har bhor hai
Kyun Ravi ka tez mand ho raha
Chand bhi kyun chandni ko ro raha
Kyun nahi ugti fasal ab pyar ki
Kyun kami khalti hai sacche yaar ki
Khud hi majhi naav kyun dubo raha
Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara
Gadya hai khamosh kavya maun hai
Prem ka sandesh de wo kaun hai
Majhabon main aadmi bata hai kyun
Juban main tera-mera rata hai kyun
Vish se aj har ek ghat bhara hai kyun
Aur Lahu se bhari dhara hai kyun
Hai kaun jo nafrat ke beej bo raha
Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara
Manjil se pehle kyun kadam hain thak rahe
Kyun Yuva hain raaste bhatak rahe
Hain kahan bacchon ki wo kilkariyan
Kyun har ek ghar se uthein siskariyan
Kyun yahan koi hai bhuka so gaya
Bewaqt kyun bachpan bhi boodha ho gaya
Kyun kshitiz ka surya ab tak so raha
Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara
Aadmi ka aadmi dushman hai kyun
Ho rahi rishton main bhi anban hai kyun
Kyun hai daulat ke nashe main chur sab
Farz nibhane se bhi majboor ab
Dekhiye mahaul ye kaisa hua
Ab to rishton se bada paisa hua
Paisa-paisa shor kaisa ho raha
Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara
Apne sanskar kahan kho gaye
Desh main apne videshi ho gaye
Dhan to pa liya magar nahin hai chain
Tan to shant hai magar Atma bechain
Swartha ab parmartha se bada hai kyun
Har khushi ki raah main ada hai kyun
Chidchida sabka swabhav ho raha
Hai nayan main neer kyun bhara bhara
Aj hai har swapn kyun dara dara
Aao chalo swapn phir sajayein hum
Khud ko phir se aadmi banayein hum
Har taraf aman ho aur pyar ho
Zindagi ki raah khushgavar ho
Rishton ki pavitrata ka maan ho
Aur dharmon se bada insaan ho
Yun lage ki navprabhat ho raha
Ho nayan main neer na bhara bhara
Aur na ho swapn phir dara dara.
--Ravi